Saturday, 10 January 2015

ILMO HIQMAT KA KHAZANA

Unknown  /  at  01:48:00  /  No comments

Hazrat Ali ke aqwal

ise jab fursat mile 
dilo dimag me 
mahefooz kar-lena 
kai jagah kam ayega 

1. Agar tum kisi ko dokha dene mein kamyaab ho jate ho to ye mat socho ki wo kitna bewaqoof hai, balki ye socho ki usko tum par aitbaar kitna tha.


2. Gusse ki haalat me koi faisla mat karo aur agar khush ho to koi vaada mat karo.


3.Hamesha apni choti choti ghaltiyon se bachne ki koshish karo, kyunki insaan pahadon se nahi balki chote chote pattharon se thokar khata hai.


4. Tumhari niyyat ki aazmaish us waqt hoti hai? Jab tum kisi aise insaan ki madad karo jis se tumhe koi cheez ki umeed na ho.


5. Zindagi ko is tarah jiyo jaise hamesha zinda rehna hai. Aur aakhirat ki fikr aise karo jaise agle hi pal marr jana hai.


6. Agar kisi ka zarf aazmana ho to use zyada izzat do, Wo aala zarf hua to aap ko aur zyada izzat dega. Aur agar kam zarf hua to khud ko aala samjhega.


7. Kabhi apne dost ki sacchai ka imtehan na lo, kya pata us waqt wo majboor ho aur tum ek accha dost kho baitho?


8. Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhne lage 
to dil anjaam se andha ho jata hai.


9. Kisi ko tum chaho aur woh tumhe thukra de? To yeh uski badnaseebi hai. Aur agar koi tumhe na chahe aur tum use zabardasti apna banana chaho? To yeh tumhare nafs ki zillat hai.


10. Main jannat ke shauq me ibadat nahi karta kyunki yeh ibadat nahi tijarat hai.Main dozakh ke khauf se bhi ibadat nahi karta kyunki yeh ibadat nahi ghulami hai.Main ibadat sirf isliye karta hoon kyunki mera RAB ibadat ke qabil hai aur koi nahi.


11. Agar dost banana tumhari kamzori hai? To tum duniya ke sabse taqtwar insaan ho.


12. Zindagi me kabhi haalat ke saath samjhauta karna pade to ghabrana mat "Dost", Jhukta wohi hai jisme jaan hoti hai, akadna to murde ki pehchan hoti hai.


13. Insan ke bimaar hone ki ek badi wajah doston ki judai hai.


14. Apno ko hamesha apne hone ka ehsaan dilate raho warna waqt aapke apno ko aap ke bina jeena sikha dega.


15. A wise man first thinks and then speaks and a fool speaks first and then thinks.


16. Jab main dastarkhan par do rang ke khane dekhta hoon to main mayus ho jata hoon ki aaj phir kisi ka haq mara gaya.


17. Kisi se mohabbat karne se pehle apne dil me qabristan banalo, ta ki uski choti choti ghaltiyon ko dafna sako.


18. Duniya me char dafa waqt ruk gaya tha:
1-Jab Nabi-e-Kareem meraj par gaye the.
2-Jab Hazrat Bilal ne azan nahi di thi.
3-Jab Bibi fatima-tu-Zehra ke sir se dupatta sirq gaya tha aur do baal nazar aa rahe the.
4-Jab Hazrat Ali ki namaz qaza ho rahi thi.


19. Jisne kisi ko akele me nasihat ki? Usne use sanwaar diya. Aur jisne kisi ko sab ke saamne nasihat ki? Usne Uske mazeed bigaad diya.


20. Mujhe dua qabool hone ki fikr nahi? Mujhe sirf dua maangne ki Fikr hai. Jab mujhe dua maangne ki taufeeq hogayi hai to qabooliyat bhi uske sath hasil hojayegi.


21. Teen rishte be-naqaab hojate hai. 
(Budhape mein aulaad, 
musibat mein dost 
aur ghurbat me biwi)


22. Lambi dosti ke liye do cheezon par amal karo. (Apne dost se gusse me baat mat karo aur apne dost ki gusse me kahi hui baat dil pe mat lo)


23. Duniya mein behtreen insaan wo hai jiske liye koi roye aur badtareen insaan wo hai jiski wajah se koi roye.


24. Koi tumse bhalai ki umeed rakhe to use mayus mat karo, kyunki logon ki zaruraton ka tumse waabasta hona tum par ALLAH ki inayat hai.


25. Kisi ka dil mat dukhao, ho sakta hai wo tumhe aise chahta ho jaise marne wala zindagi?


26. Jiska raabta khuda ke saath ho wo naakam nahi hota. Naakam wo hota hai jiski umeedein duniya se waabasta ho.


27. Insaan bhi kya cheez hai, daulat kamane ke liye apni sehat kho deta hai.Phir sehat ko wapis pane ke liye apni daulat khota hai.Mustaqbil ko soch kar apna haal zaya karta hai, phir mustaqbil me apna maazi yaad karke rota hai.Jeeta aise hai jaise kabhi marega hi nahi, aur marr aise jata hai jaise kabhi jiya hi nahi.


28. Apne din ka aaghaz sadqa dene se shuru karo. Us din tumhari koi dua radh nahi ki jayegi aur acchi baat batana bhi sadqa hai.


29. Namaz padhn
e ke dauran tumhari kaifiyat in do me se ek honi chahiye. (Tum ALLAH ko Dekh rahe ho ya phir ALLAH tumhe dekh raha hai)


30. Yeh na socho ki ALLAH dua fauran qabool kyun nahi karta? Yeh shukr karo ki ALLAH humare gunahon ki saza fauran nahi deta.


31. Insaan ko acchi niyyat pe wo inaam milta hai, jo use acche aamal par bhi nahi milta.


32. Pareshani khamosh hone se kam, sabr karne se khatam aur shukr karne se khushi me badal jati hai.


33. Agar log Namaz-e-Fajr ka sawab aur fazeelat ko jaan le to raat ko is khauf se sona chhod denge ki kahi neend ki wajah se namaz na choot jaye.


34. Namaz ki fikr apne upar farz karlo, khuda ki qasam duniya ki fikr se azad hojaoge aur kamyabi tumhare qadam choomegi.


35. Daulat milne par log badalte nahi, balki Be-naqaab hote hai.


36. Kabhi bhi apni jismaani taaqat aur daulat par bharosa na karna kyunki bimaari aur ghurbat aane me der nahi lagti.


37. Insaan gunah karne ki wajah se jahannum me nahi jata? Balki gunah par mutmaeen rehne aur tauba na karne ki wajah se jahannum me jata hai.


38. Duniya usko yateem samajhti hai jiske maa baap na ho, lekin main yateem usko samajhta hoon jiske acche dost na ho.


39. Nafrat gunah se karo, gunah karne wale se nahi. Shayad! tumhari mohabbat me aa kar wo gunah karna hi chhod de?


40. Insaan ka fuzool shauq me waqt kho dena is baat ki daleel hai ki ALLAH us se naraz hai.


41. Momin woh nahi jiski mehfil paak hai, momin woh hai jiski tanhai paak hai.


42. Agar kisi ko yeh ghuroor ho ki wo tumse jitni martaba naraz ho to tum use mana loge? To behtar hai tum uska ghuroor tootne na do.


43. Jo tumhe khushi me yaad aaye? Samajhlo tum us se mohabbat karte ho. Aur jo tumho gham me yaad aaye? Samajhlo wo tumse mohabbat karta hai.


44. Gunaah jawaan ka bad hai magar budhe ka badtar.


45. Mushkilat hamesha behtareen logon ke hisse me aate hai. Kyunki wo usko behatreen tareeqe se anjaam dene ki salahiyat rakhte hai.


46. Hargiz aise shakhs ki dosti ikhtiyar na karo jo tumhari buraiyon ko yaad rakhe aur khoobiyon ko bhool jaye.


47. Jo shakhs hamesha tumhara bhala chahe, uska udas hona tumhare liye fikr ki baat hai.


48. Agar rizq Aqal-o-Danish se milta to jaanwar aur bewakoof zinda hi na rehte.


49. Musibat me ho to kabhi yeh na socho ki kaunsa dost kaam aayega? Balki yeh socho ki ab kaunsa dost chhod ke jayega?


50. Insaan ke aansu us waqt muqaddas hote hai, jab wo kisi aur ki takleef mehsus kar ke nikle.


51. Azaadi ki hifazat na karne wala ghulami me giraftar ho jata hai.


52. Huzur nabiyye karim (sallallahualayhiwssallam)se 10 moharram ke roze ke baare me sawal kiya gaya?To aap ne farmaya: "Yeh guzishta saal ke gunahon ka kaffara ban jata ha aur agar main ainda saal tak zinda raha to 9 moharram ka bhi roza zaroor rakhunga".


53. Jab insaan naarazgi khatam karne me pehl karta hai? To iska yeh matlab nahi ki wo ghalat tha, iska matlab hai ki use aan se zyada rishta aziz hai.


54. Aye insan agar tujhe yeh maloom ho jaye ki sajde ke dauran tujh par kitni rehmatein nazil hoti hai? To tu kabhi sajde se sar uthayega hi nahi.


55. Yeh duniya kitni ajeeb hai imaandar ko bewaqoof, be-imaan ko aqalmand, aur behaya ko khoobsurat kehti hai.


56. Agar tumhe ek doosre ki niyyaton ka pata chal jaye, to tum ek doosre ko dafnana hi chhod doge.


57. Mujhe wo dost pasand hai jo mehfil me meri ghalatiyan chupaye or tanhai me meri ghalatiyon par tanqeed kare.


58. Dost ki koi baat buri lage to khamosh hojao. Agar wo dost hai to use us baat ka ranj hoga. Aur agar na hua to tum samjh lena ki wo tumhara dost nahi.


59. Khaas aur aam dost me itna hi farq hota hai: Aam dost sirf tareef karta hai. Lekin khaas dost tareef ke saath-saath tanqeed bhi karta hai.


60. Jhoothe ki sabse badi saza yeh hai ki uske sach ka bhi Aitbaar koi nahi karte.


61. Kisi ko paane ki Tamanna mat karo, Balki is qabil hojao log aapko paane ki tamanna kare.


62. Tanhai me gunaah se bacho, kyunki iska gawah khud Allah'taala hota hai.


63. Log tumhari aqal se tumhari shaksiyat ka wazan karte hai. Lehaaza tum
apni aqal ka wazan ilm se badhao.


64. Tumhara nafs bohot keemti hai. Ise jannat se kam kisi keemat pe mat bechna.


65. Apna behatreen waqt namaz ke liye muqarrar kar do, kyunki tumhare sab kaam tumhari namaz ke baa'is qubool honge.


66. Insaan ka kirdaar uski zaban ke neeche dafan hota hai.Agar kisi shakhs ke kirdaar ka pata lagana ho? To use sakht gusse ki haalat me dekho.


67. Duniya me kabhi kisi acche insaan ko talaash mat karo, balki khud acche ban jao. Ho sakta hai ki tumhare is amal se kisi aur ki talaash khatam ho jaye?


68. Jis tarah shabnam ke qatre murjhaye hue phool ko taazgi dete hai, usi tarah acche alfaz mayus dilon me roshni bharte hai.


69. 5 Cheezon ki 5 jagah par hifazat karo:1-Mehfil me zaban ki.2-Bazar me aankh ki.3-Namaz me dil ki.4-Dastarkhan par pet ki.5-Nigah me haya ki.


70. Jahan sadqat aur khuloos nazar aaye? Wahan dosti ka haath badhao. Warna tumhari tanhai tumhari behtareen saathi hai.


71. Yeh zindagi do din ki hai: Ek din tumhare haq me aur ek din tumhare khilaf.Jis din tumhare haq me ho us din ghuroor mat karna aur jis din tumhare khilaf ho us din sabr karna.


72. Lambi umeedon se parhez kiya karo, kyunki yeh doosri nematon ko tumhari nazar me chota bana deti hai aur tum unki shukr guzari nahi karte.


73. Sabr ki do surtein hai. (Jo na-pasand ho use bardasht karna aur jo pasand ho uska intezar karna)


74. Dosti ki zeenath ek doosre ki baat ko bardasht karna hai. Be-aib dost talaash mat karo warna akele reh jaoge.


75. Hazrat Ali ne farmaya ki: "Main poori zindagi me sirf ek raat sukoon se soya hoon".Poocha gaya "Wo kaunsi"?


Hazrat Ali ne farmaya: "Jis din huzur alyhis-salam ne farmaya ki Aye Ali! kal tumhe (amanate) maal-e-ghanimat taqseem kar ke aana hai. Kyunki sirf us raat mujhe yaqeen tha ki main subha zinda uthunga"


*Subhan'Allah*


76. Zindagi ko zaruriyat ki taraf le jao khwahishat ki taraf nahi. Kyunki zaruriyat to faqeeron ki bhi poori hoti jati hai aur khwahishat Baadshahon ki bhi adhoori reh jati hai.


77. Log pyaar ke liye hote hai aur cheezein istemaal ke liye. Baat us waqt bigadti hai jab cheezon se pyaar aur logon ko istmaal kiya jaye.


78. Na insaan apni marzi se paida hua aur na apni marzi se marega. Phir wo inke beech ka arsa apni marzi se kyun guzarna chahta hai??


79. Jis darakht ki lakdi narm hogi, uski shakhein zyada hogi. Narm tabiyat ikhtiyar karo taaki tumare dost zyada ho.


80. Aqlaaq ki keemat kuch nahi deni padti hai. Magar us se har cheez khareedi ja sakti hai.


81. Jab insaan ki aqal mukammal ho jati hai, to uski guftagu mukhtasar ho jati hai.


82. Agar koi accha lage to us se kam mila karo, agar koi zyada accha lage to us se sirf dekha karo aur agar koi dil me utar jaye to use sirf yaad kiya karo.


83. Acche logon ki ek ya nishani bhi hai ki unko yaad rakhna nahi padta wo yaad reh jate hai.


84. Tum kala libaas mat pehna karo, Kyunki beshak yeh firon ka libaas hai.


85. Rizq ke peeche apna imaan kharab mat karo. Kyunki naseeb ka rizq insaan ko aise talaash karta hai jaise marne wale ko maut.


86. Lakhon ko dost banana koi badi baat nahi, badi baat yeh hai ki aisa dost banao jo tumhara saath us waqt de jab lakhon tumhare dushman ho.


87. Aitbaar aur pyar do aise parindey hai? Agar in me se ek udd jaye to doosra khud hi udd jata hai.


88. Jis shaks me wafadari na ho? Uske saath dosti karne ka matlab khud ko zaleel karna hai.


89. ALLAH ke nazdeek sabse zyada gunahgar cheez jhoot bolne wali zaban hai.


90. Din ko rizq talaash karo aur raat ko use talaash karo jo tumhe rizq deta hai.


91. Jo apne aap ko mohtaaj banata hai wo hamesha mohtaaj hi rehta hai.


92. Insaan apni touheen maaf to kar sakta hai par bhool nahi sakta.


93. Tum accha karo aur zamana bura samjhe? Yeh tumhare haq me behtar hai bajaye iske tum bura karo aur zamana tum ko accha samjhe.


94. Tum gulaab ka phool ban jao, kyunki yeh phool uske haathon me bhi khushboo chhod jata hai jo ise masal kar phenk deta hai.


95. Apni kismat pe wo rota hai jo sajde me nahi rota.


96. Bura dost aag ki
tarah hai, agar jalta hai to aapko bhi jala dega aur agar bujha hai to aapke haath kale kar dega.


97. Har kisi ko itni ehmiyat do jitni wo tumko deta hai. Agar kam doge ghamandi kehlaoge aur agar zyada doge khud gir jaoge.


98. Koshish karo ki tum duniya me raho, Duniya tum me na rahe. Kyunki kashti jab tak pani me rehti hai, khoob terti hai. Lekin jab pani kashti me aa jata hai to wo doob jati hai.


99. Jab bhi farig waqt mile to apni maa ke paas ja ke baitha karo, kyunki maa ke saath guzara hua waqt qayamat ke din nijat ka baa'is banega.


100. Kisi ke khuloos aur pyar ko uski bewakoofi mat samjho, warna kisi din tum khuloos aur pyar talaash karoge aur log tumhe bewakoof samjhenge.


101. Agar duniya me sukoon hota to ALLAH ko kaun yaad karta? Sukoon to sirf unlogon ke paas hai jo ALLAH ki raza ko apni raza samajhte hai.


102. Agar kisi par ehsaan karo to use doosron se bhi chupaya karo.


103. Sabse bada gunaah wo hai ho karne wale ki nazar me chota ho.


104. Jo zara si baat pe dost na rahe? Samajh lena wo dost kabhi tha hi nahi.


105. Jab tum kisi se mohabbat karo to us se zara bhi mohabbat na maango, kyunki tum ne mohabbat ki hai tijarat nahi.


106. Agar tum kisi ko chota dekh rahethe ho to tum use door se dekh rahe ho ya phir ghuroor se.


107. Log dukh nahi dete, logon se waabasta umeedein dukh deti hai.


108. Kisi ki madad karte waqt uske chehre ki jaanib mat dekho, ho sakta hai uski sharminda aankhein tumhare dil me ghuroor ka beej bo de?


109. Jab tum duniya ki muflisi se tang aa jao aur rizq ka koi raasta na nikle? To tum sadqa de kar ALLAH se tijarat karo.


110. Zindagi ustaad se bhi zyada sakht hoti hai, ustad sabaq de kar imtehan leta hai aur zindagi imtehan le kar sabaq deti hai.


111. Wo gunah jis ka tumhe ranj ho, ALLAH ke nazdeeq us neki se behtar hai jis se tum me ghuroor paida ho jaye

Share
Posted in: , Posted on: Saturday, 10 January 2015

0 comments:

Do Not Post Bad Comment

Recent Comments

Copyright © 2013 Bedaari E Ummat Service . WP Theme-junkie converted by Bloggertheme9
Blogger templates. Proudly Powered by Blogger.